sarkar-e-madina ki mahfil jo sajai hai
sarkār-e-madīna kī mahfil jo sajā.ī hai
rahmat kī ghaTā ghir kar kis shaan se aa.ī hai
lau sarvar-e-‘ālam se ham ne to lagā.ī hai
duniyā se hai kyā lenā duniyā to parā.ī hai
duniyā meñ koī merī fariyād nahīñ suntā
ai rahmat-e-'ālam ab terī hī duhā.ī hai
har aan madīne kī rahtī hai lagan dil meñ
ye dard-e-judā.ī bhī kyā dard-e-judā.ī hai
is gumbad-e-ḳhazrā kā kyā vasf bayāñ ho
shāyad ki madīne meñ jannat utar aa.ī hai
kyā hai jo madīna hai ojhal mirī nazroñ se
us arz-e-muqaddas tak dil kī to rasā.ī hai
ai kaash 'hazīñ' par ab rahmat kī nazar ho jaa.e
zahmat to bahut is ne duniyā meñ uThā.ī hai
sarkar-e-madina ki mahfil jo sajai hai
rahmat ki ghaTa ghir kar kis shan se aai hai
lau sarwar-e-‘alam se hum ne to lagai hai
duniya se hai kya lena duniya to parai hai
duniya mein koi meri fariyaad nahin sunta
ai rahmat-e-'alam ab teri hi duhai hai
har aan madine ki rahti hai lagan dil mein
ye dard-e-judai bhi kya dard-e-judai hai
is gumbad-e-KHazra ka kya wasf bayan ho
shayad ki madine mein jannat utar aai hai
kya hai jo madina hai ojhal meri nazron se
us arz-e-muqaddas tak dil ki to rasai hai
ai kash 'hazin' par ab rahmat ki nazar ho jae
zahmat to bahut is ne duniya mein uThai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.