Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

satati hi rahe ya-rab mujhe furqat mohammad ki

Haqqi Hazeen

satati hi rahe ya-rab mujhe furqat mohammad ki

Haqqi Hazeen

MORE BYHaqqi Hazeen

    satātī rahe yā-rab mujhe furqat mohammad

    machaltī rahe dil meñ mire hasrat mohammad

    hai vaj.h-e-āfrīnash asl meñ be'sat mohammad

    zarūrī thī jahāñ ke vāste ḳhilqat mohammad

    hamāre vāste kaafī yahī baḳhshish sāmāñ hai

    ḳhudāyā dekh leñ ham hashr meñ sūrat mohammad

    ḳhudā shaan aur us buzurgī to kyā kahnā

    magar kuchh kam nahīñ apnī jagah 'azmat mohammad

    phireñge baḳhshish-e-ummat ḳhātir hashr meñ har-sū

    are tauba ye hālat aur ye kaifiyyat mohammad

    bazāhir aap be-hurmatī jin pe tohmat hai

    ba-bātin karte haiñ vo log bhī vaq'at mohammad

    hamāre jannatī hone meñ kuchh shak ho nahīñ saktā

    mohammad ke 'hazīñ' jab ham haiñ aur jannat mohammad

    satati hi rahe ya-rab mujhe furqat mohammad ki

    machalti hi rahe dil mein mere hasrat mohammad ki

    hai wajh-e-afrinash asl mein be'sat mohammad ki

    zaruri thi jahan ke waste KHilqat mohammad ki

    hamare waste kafi yahi baKHshish ka saman hai

    KHudaya dekh len hum hashr mein surat mohammad ki

    KHuda ki shan aur us ki buzurgi ka to kya kahna

    magar kuchh kam nahin apni jagah 'azmat mohammad ki

    phirenge baKHshish-e-ummat ki KHatir hashr mein har-su

    are tauba ye haalat aur ye kaifiyyat mohammad ki

    bazahir aap ki be-hurmati ki jin pe tohmat hai

    ba-baatin karte hain wo log bhi waq'at mohammad ki

    hamare jannati hone mein kuchh shak ho nahin sakta

    mohammad ke 'hazin' jab hum hain aur jannat mohammad ki

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now