tamanna hai ki marte waqt bhi hum muskuraate hon
tamanna hai ki marte vaqt bhī ham muskurāte hoñ
zabāñ par yā-mohammad ho jab is duniyā se jaate hoñ
bane ai kaash us dam sāz-e-hastī āḳhrī hichkī
farishte naġhma-e-salle-alā jab gungunāte hoñ
maza jab hai ki ham dīvāna-vār un kī taraf jaa.eñ
ishāroñ se shah-e-har-do-sarā ham ko bulāte hoñ
shab-e-furqat kī in rangīniyoñ par jān-o-dil sadqe
tumhārī yaad ho dil meñ sitāre jhilmilāte hoñ
na kyoñ ūñchā ho saare ambiyā se martaba un kā
sifārish kar ke jo ummat ko apnī baḳhshvāte hoñ
sukūñ kī sā.atoñ meñ kaun un ko bhuul saktā hai
dam-e-mushkil jo har ik be-navā ke kaam aate hoñ
bayāñ ho kyā 'shakīl' us bazm-e-dil kī jalva-sāmānī
habīb-e-kibriyā jis bazm meñ tashrīf laate hoñ
tamanna hai ki marte waqt bhi hum muskuraate hon
zaban par ya-mohammad ho jab is duniya se jate hon
bane ai kash us dam saz-e-hasti aaKHri hichki
farishte naghma-e-salle-ala jab gungunate hon
maza jab hai ki hum diwana-war un ki taraf jaen
ishaaron se shah-e-har-do-sara hum ko bulate hon
shab-e-furqat ki in ranginiyon par jaan-o-dil sadqe
tumhaari yaad ho dil mein sitare jhilmilate hon
na kyon uncha ho sare ambiya se martaba un ka
sifarish kar ke jo ummat ko apni baKHshwate hon
sukun ki saaton mein kaun un ko bhul sakta hai
dam-e-mushkil jo har ek be-nawa ke kaam aate hon
bayan ho kya 'shakil' us bazm-e-dil ki jalwa-samani
habib-e-kibriya jis bazm mein tashrif late hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.