tanhai ke sab din hain tanhai ki sab raaten
tanhai ke sab din hain tanhai ki sab raaten
Maulana Mohammad Ali Jauhar
MORE BYMaulana Mohammad Ali Jauhar
tanhā.ī ke sab din haiñ tanhā.ī kī sab rāteñ
ab hone lagīñ un se ḳhalvat meñ mulāqāteñ
har lahza tashaffī hai har aan tasallī hai
har vaqt hai dil-jūī har dam haiñ mudārāteñ
kausar ke taqāze haiñ tasnīm ke va.ade haiñ
har roz yahī charche har roz yahī bāteñ
me.arāj kī sī hāsil sajdoñ meñ hai kaifiyyat
ik fāsiq-o-fājir meñ aur aisī karāmāteñ
be-māya sahī lekin shāyad vo bulā bhejeñ
bhejī haiñ darūdoñ kī kuchh ham ne bhī sauġhāteñ
tanhai ke sab din hain tanhai ki sab raaten
ab hone lagin un se KHalwat mein mulaqaten
har lahza tashaffi hai har aan tasalli hai
har waqt hai dil-jui har dam hain mudaraaten
kausar ke taqaze hain tasnim ke wade hain
har roz yahi charche har roz yahi baaten
mearaj ki si hasil sajdon mein hai kaifiyyat
ek fasiq-o-fajir mein aur aisi karamaten
be-maya sahi lekin shayad wo bula bhejen
bheji hain darudon ki kuchh hum ne bhi saughaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.