thi jis ke muqaddar mein gadai tere dar ki
thi jis ke muqaddar mein gadai tere dar ki
Peer Nasiruddin Shah Naseer
MORE BYPeer Nasiruddin Shah Naseer
thī jis ke muqaddar meñ gadā.ī tire dar kī
qudrat ne use raah dikhā.ī tire dar kī
har vaqt hai ab jalva-numā.ī tire dar kī
tasvīr hī dil meñ utar aa.ī tire dar kī
haiñ arz-o-samāvāt tirī zaat kā sadqa
muhtāj hai ye saarī ḳhudā.ī tire dar kī
anvār hī anvār kā aalam nazar aaya
chilman jo zarā maiñ ne uThā.ī tire dar kī
mashrab hai mirā terī talab terā tasavvur
maslak hai mirā sirf gadā.ī tire dar kī
dar se tire allāh kā dar ham ko milā hai
is auj kā baa.is hai rasā.ī tire dar kī
ik ne.amat-e-uzmā se vo mahrūm rahā hai
jis shaḳhs ne ḳhairāt na paa.ī tire dar kī
maiñ bhuul gayā naqsh-o-nigār-e-ruḳh-e-duniyā
sūrat jo mire sāmne aa.ī tire dar kī
tā-zīst tire dar se mirā sar na uThegā
mar jā.ūñ to mumkin hai judā.ī tire dar kī
phir us ne koī aur tasavvur nahīñ bāñdhā
ham ne jise tasvīr dikhā.ī tire dar kī
hai mere liye to yahī me.arāj-e-ibādat
hāsil hai mujhe nāsiya-sā.ī tire dar kī
aaya hai 'nasīr' aaj tamanna yahī le kar
palkoñ se kiye jaa.e safā.ī tire dar kī
thi jis ke muqaddar mein gadai tere dar ki
qudrat ne use rah dikhai tere dar ki
har waqt hai ab jalwa-numai tere dar ki
taswir hi dil mein utar aai tere dar ki
hain arz-o-samawat teri zat ka sadqa
muhtaj hai ye sari KHudai tere dar ki
anwar hi anwar ka aalam nazar aaya
chilman jo zara main ne uThai tere dar ki
mashrab hai mera teri talab tera tasawwur
maslak hai mera sirf gadai tere dar ki
dar se tere allah ka dar hum ko mila hai
is auj ka bais hai rasai tere dar ki
ek neamat-e-uzma se wo mahrum raha hai
jis shaKHs ne KHairaat na pai tere dar ki
main bhul gaya naqsh-o-nigar-e-ruKH-e-duniya
surat jo mere samne aai tere dar ki
ta-zist tere dar se mera sar na uThega
mar jaun to mumkin hai judai tere dar ki
phir us ne koi aur tasawwur nahin bandha
hum ne jise taswir dikhai tere dar ki
hai mere liye to yahi mearaj-e-ibaadat
hasil hai mujhe nasiya-sai tere dar ki
aaya hai 'nasir' aaj tamanna yahi le kar
palkon se kiye jae safai tere dar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.