uTha do parda dikha do jalwa ki nur-e-bari hijab mein hai
uTha do parda dikha do jalwa ki nur-e-bari hijab mein hai
Maulwi Ahmad Rza Khan
MORE BYMaulwi Ahmad Rza Khan
uThā do parda dikhā do jalva ki nūr-e-bārī hijāb meñ hai
zamāna tārīk ho rahā hai ki mehr kab se naqāb meñ hai
unhīñ kī bū māya-e-saman hai unhīñ kā jalva chaman chaman hai
unhīñ se gulshan mahak rahe haiñ unhīñ kī rangat gulāb meñ hai
vo gul haiñ lab-hā-e-nāzuk un ke hazāroñ jhaḌte haiñ phuul un se
gulāb gulshan meñ dekhe bulbul ye dekh gulshan gulāb meñ hai
khaḌe haiñ munkir-nakīr sar par na koī haamī na koī yāvar
batā do aa kar mire payambar ki saḳht mushkil javāb meñ hai
ḳhudā-e-qahhār hai ġhazab par khule haiñ bad-kāriyoñ ke daftar
bachā lo aa kar shafī-e-mahshar tumhārā banda azaab meñ hai
gunah kī tārīkiyāñ haiñ chhā.īñ umañD ke kaalī ghaTā.eñ aa.iiñ
ḳhudā ke ḳhurshīd mehr farmā ki zarra bas iztirāb meñ hai
karīm apne karam kā sadqa la.īm-e-be-qadr ko na sharmā
tū aur 'razā' se hisāb māñge 'razā' bhī koī hisāb meñ hai
uTha do parda dikha do jalwa ki nur-e-bari hijab mein hai
zamana tarik ho raha hai ki mehr kab se naqab mein hai
unhin ki bu maya-e-saman hai unhin ka jalwa chaman chaman hai
unhin se gulshan mahak rahe hain unhin ki rangat gulab mein hai
wo gul hain lab-ha-e-nazuk un ke hazaron jhaDte hain phul un se
gulab gulshan mein dekhe bulbul ye dekh gulshan gulab mein hai
khaDe hain munkir-nakir sar par na koi hami na koi yawar
bata do aa kar mere payambar ki saKHt mushkil jawab mein hai
KHuda-e-qahhaar hai ghazab par khule hain bad-kariyon ke daftar
bacha lo aa kar shafi-e-mahshar tumhaara banda azab mein hai
gunah ki tarikiyan hain chhain umanD ke kali ghaTaen aain
KHuda ke KHurshid mehr farma ki zarra bas iztirab mein hai
karim apne karam ka sadqa laim-e-be-qadr ko na sharma
tu aur 'raza' se hisab mange 'raza' bhi koi hisab mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.