wahan pahunch ke ye kahna saba salam ke baad
vahāñ pahuñch ke ye kahnā sabā salām ke ba.ad
tumhāre naam kī raT hai ḳhudā ke naam ke baad
shab-e-visāl bayān-e-ġham-e-firāq abas
fuzūl hai gila-e-zaḳhm iltiyām ke baad
vahāñ bhī vāda-e-dīdār is tarah Taalā
ki log ḳhās-talab hoñge bār-e-ām ke baad
gunāhgār kī sun lo to saaf saaf hai ye
ki lutf-e-rahm-o-karam kyā phir intiqām ke ba.ad
talab tamām ho matlūb kī agar had ho
lagā huā hai yahāñ kuuch har maqām ke baad
vo ḳhatt o chehra vo zulf-e-siyāh to dekho
ki shaam sub.h ke baad aa.ī sub.h shaam ke baad
tujhe kahe koī kyūñkar na ġhairat-e-īsā
rahā na hosh kisī ko tire kalām ke baad
payām-bar ko ravāna kiyā to rashk aaya
na ham-kalām ho us se mire kalām ke baad
tamām hoñ abhī jhagḌe ye lan-tarānī ke
dikhā do jalva ḳhudārā agar kalām ke baad
abhī to dekhte haiñ zarf bāda-ḳhvāroñ kā
subū-o-ḳhum kī bhī Thahregī daur-e-jām ke baa'd
ilāhī 'āsī'-e-be-tāb kis se chhūTā hai
ki ḳhat meñ roz-e-qayāmat likhā hai naam ke ba.ad
wahan pahunch ke ye kahna saba salam ke baad
tumhaare nam ki raT hai KHuda ke nam ke baad
shab-e-visal bayan-e-gham-e-firaq abas
fuzul hai gila-e-zaKHm iltiyam ke baad
wahan bhi wada-e-didar is tarah Tala
ki log KHas-talab honge bar-e-am ke baad
gunahgar ki sun lo to saf saf hai ye
ki lutf-e-rahm-o-karam kya phir intiqam ke baad
talab tamam ho matlub ki agar had ho
laga hua hai yahan kuch har maqam ke baad
wo KHatt o chehra wo zulf-e-siyah to dekho
ki sham subh ke baad aai subh sham ke baad
tujhe kahe koi kyunkar na ghairat-e-isa
raha na hosh kisi ko tere kalam ke baad
payam-bar ko rawana kiya to rashk aaya
na ham-kalam ho us se mere kalam ke baad
tamam hon abhi jhagDe ye lan-tarani ke
dikha do jalwa KHudara agar kalam ke baad
abhi to dekhte hain zarf baada-KHwaron ka
subu-o-KHum ki bhi Thahregi daur-e-jam ke ba'd
ilahi 'asi'-e-be-tab kis se chhuTa hai
ki KHat mein roz-e-qayamat likha hai nam ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.