yaad-ee-taiba aa gai pinjre mein bahlane mujhe
yād-e-taiba aa ga.ī piñjre meñ bahlāne mujhe
maiñ paroñ ko dekhtā huuñ aur dīvāne mujhe
maiñ nabī kī sabz rahmat kī taraf chalne lagā
rāsta dene lage mahfil meñ parvāne mujhe
har qadam par shahr-e-taiba kī taraf baḌhtā huuñ maiñ
kaifiyat dil kī nahīñ detī hai ghabrāne mujhe
mujh pe ye jūd-o-karam thā ishq-e-sarvar ke tufail
apnoñ ke jaise mile taiba meñ begāne mujhe
maiñ pas-e-dīvār baiThā qāfiloñ ko sochtā
aur ik din aa ga.e ghar saath le jaane mujhe
na.at paḌhtā huuñ to mujh par phuul khilte haiñ so maiñ
DhūñDhtā rahtā huuñ vīrāne to vīrāne mujhe
ashk palkoñ se abhī dahlīz tak pahuñchā na thā
aur labālab bhar ga.e rahmat ke paimāne mujhe
yaad-e-taiba aa gai pinjre mein bahlane mujhe
main paron ko dekhta hun aur diwane mujhe
main nabi ki sabz rahmat ki taraf chalne laga
rasta dene lage mahfil mein parwane mujhe
har qadam par shahr-e-taiba ki taraf baDhta hun main
kaifiyat dil ki nahin deti hai ghabrane mujhe
mujh pe ye jud-o-karam tha ishq-e-sarwar ke tufail
apnon ke jaise mile taiba mein begane mujhe
main pas-e-diwar baiTha qafilon ko sochta
aur ek din aa gae ghar sath le jaane mujhe
nat paDhta hun to mujh par phul khilte hain so main
DhunDhta rahta hun virane to virane mujhe
ashk palkon se abhi dahliz tak pahuncha na tha
aur labaalab bhar gae rahmat ke paimane mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.