ye qumqume ye ujale ye rang-o-bu kya hai
ye qumqume ye ujāle ye rang-o-bū kyā hai
nabī kā nuur nahīñ hai to chār-sū kyā hai
ye bū-e-gul ye chañbelī ye bhīnī bhīnī mahak
faqat nabī kā pasīna hai rang-o-bū kyā hai
unhīñ kā khāte ho un hī kī rahmatoñ se mafar
tumhīñ kaho ki ye andāz-e-guftugū kyā hai
sabā zarūr madīne se ho ke aa.ī hai
ye ḳhushbū ḳhushbū havāoñ meñ chār-sū kyā hai
ba-rū-e-chashm-e-tamannā ho gumbad-e-ḳhazrā
is aarzū ke sivā aur aarzū kyā hai
yahī kahūñgā sadā maiñ rahūñ ġhulām-e-nabī
ḳhudā jo pūchhegā mujh se ki aarzū kyā hai
jahāñ pe jaate haiñ qudsī bhī sar jhukā.e 'shamīm'
vahāñ pe kyā tirī auqāt aur tū kyā hai
ye qumqume ye ujale ye rang-o-bu kya hai
nabi ka nur nahin hai to chaar-su kya hai
ye bu-e-gul ye chanbeli ye bhini bhini mahak
faqat nabi ka pasina hai rang-o-bu kya hai
unhin ka khate ho un hi ki rahmaton se mafar
tumhin kaho ki ye andaz-e-guftugu kya hai
saba zarur madine se ho ke aai hai
ye KHushbu KHushbu hawaon mein chaar-su kya hai
ba-ru-e-chashm-e-tamanna ho gumbad-e-KHazra
is aarzu ke siwa aur aarzu kya hai
yahi kahunga sada main rahun ghulam-e-nabi
KHuda jo puchhega mujh se ki aarzu kya hai
jahan pe jate hain qudsi bhi sar jhukae 'shamim'
wahan pe kya teri auqat aur tu kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.