zaban-e-qalam par hai salle-ala
zabān-e-qalam par hai salle-alā
ki likhtā huuñ na.at-e-habīb-e-ḳhudā
ḳhudā bhī hasīnoñ ko rakhtā hai dost
mohammad sā mahbūb us kā hai dost
ġharaz husn meñ hai ajab martaba
ki hai chashm-e-sān.e.a meñ bhī ḳhushnumā
nabī par huā husn kā iḳhtitām
ki māshūq-e-ḳhāliq the ḳhair-ul-anām
bilā-shak ye haiñ rashk-e-yūsuf sarīh
ki vo hai sabīh aur ye haiñ malīh
zaban-e-qalam par hai salle-ala
ki likhta hun nat-e-habib-e-KHuda
KHuda bhi hasinon ko rakhta hai dost
mohammad sa mahbub us ka hai dost
gharaz husn mein hai ajab martaba
ki hai chashm-e-sanea mein bhi KHushnuma
nabi par hua husn ka iKHtitam
ki mashuq-e-KHaliq the KHair-ul-anam
bila-shak ye hain rashk-e-yusuf sarih
ki wo hai sabih aur ye hain malih
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.