Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar ham giit na gaate

Afzal Ahmad Syed

agar ham giit na gaate

Afzal Ahmad Syed

MORE BYAfzal Ahmad Syed

    hame.n ma.anii ma.aluum hai.n

    us zindagii ke

    jo ham guzaar rahe hai.n

    un pattharo.n kaa vazn ma.aluum hai

    jo hamaarii be-parvaa.ii se

    un chiizo.n me.n tabdiil ho ga.e

    jin kii KHuub-suuratii me.n

    hamaarii zindagii ne ko.ii izaafa nahii.n kiyaa

    ham ne apne dil ko

    us vaqt

    qurbaan-gaah par rakhe jaane vaale phuulo.n me.n

    mahsuus kiyaa

    jab ham

    zaKHmii gho.Do.n ke juluus ke piichhe chal rahe the

    shikast hamaaraa KHudaa hai

    marne ke ba.ad ham usii kii parastish kare.nge

    ham us shaKHs kii maut mare.nge

    jis ne takliifo.n ke ba.ad dam to.Daa

    zindagii kabhii na jaan saktii

    ham us se kiyaa chaahte the

    agar ham giit na gaate

    hame.n ma.anii ma.aluum hai.n

    us zindagii ke

    jo ham guzaar rahe hai.n

    un pattharo.n kaa vazn ma.aluum hai

    jo hamaarii be-parvaa.ii se

    un chiizo.n me.n tabdiil ho ga.e

    jin kii KHuub-suuratii me.n

    hamaarii zindagii ne ko.ii izaafa nahii.n kiyaa

    ham ne apne dil ko

    us vaqt

    qurbaan-gaah par rakhe jaane vaale phuulo.n me.n

    mahsuus kiyaa

    jab ham

    zaKHmii gho.Do.n ke juluus ke piichhe chal rahe the

    shikast hamaaraa KHudaa hai

    marne ke ba.ad ham usii kii parastish kare.nge

    ham us shaKHs kii maut mare.nge

    jis ne takliifo.n ke ba.ad dam to.Daa

    zindagii kabhii na jaan saktii

    ham us se kiyaa chaahte the

    agar ham giit na gaate

    Source :
    • Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 54)
    • Author : Asif Farrukhi
    • Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
    • Edition : 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now