apne pankho.n pe
us ne mujh ko
kaTh-putlii banaa rakkhaa hai
kyaa us ne KHud ko
KHudaa banaa rakkhaa hai
jhiirii se dhiimii dhiimii aatii
zindagii me.n raushnii
is jhiirii par bhii us ne
apnaa haath rakhaa hai
dard jab siine me.n
karvaT badaltaa hai
aur jab aa.nkh se
aa.nsuu jhalaktaa hai
mat puuchho yaaro
mai.n ne apnaa naasuur
kahaa.n chhupaa rakkhaa hai
merii himmat kii daad
ko.ii kyo.n nahii.n detaa
merii muskaan ka saath
ko.ii kyo.n nahii.n detaa
suno
mai.n ne apne hauslo.n ko
apne pankho.n par rakhaa hai
us ne mujh ko
kaTh-putlii banaa rakkhaa hai
kyaa us ne KHud ko
KHudaa banaa rakkhaa hai
jhiirii se dhiimii dhiimii aatii
zindagii me.n raushnii
is jhiirii par bhii us ne
apnaa haath rakhaa hai
dard jab siine me.n
karvaT badaltaa hai
aur jab aa.nkh se
aa.nsuu jhalaktaa hai
mat puuchho yaaro
mai.n ne apnaa naasuur
kahaa.n chhupaa rakkhaa hai
merii himmat kii daad
ko.ii kyo.n nahii.n detaa
merii muskaan ka saath
ko.ii kyo.n nahii.n detaa
suno
mai.n ne apne hauslo.n ko
apne pankho.n par rakhaa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.