ye un raushan dino.n kii baat hai
jin kii shafaq sub.ho.n se
surKHii udhaar le kar
mai.n tumhaaraa KHayaal sa.nvaartii
to
parinde mohabbat kii nazme.n gaate
merii ruuh ko gudgudaate
niil gagan me.n jhuumte rahte the
ye vahii din hai.n
magar
in kii sub.he.n suunii hai.n
aur shaame.n roz
mere paas rakhii
tumhaarii sunahrii yaado.n kaa kuchh hissa le kar
KHud ko sa.nvaartii hai.n
parinde mohabbat kii nazme.n bhuul chuke hai.n
vo
merii or dekhte hai.n
aur palaT jaate hai.n
mai.n un kii bolii bhuul chukii huu.n
jaise tumhaaraa KHayaal
jo ab mere paas nahii.n rahaa
ye un raushan dino.n kii baat hai
jin kii shafaq sub.ho.n se
surKHii udhaar le kar
mai.n tumhaaraa KHayaal sa.nvaartii
to
parinde mohabbat kii nazme.n gaate
merii ruuh ko gudgudaate
niil gagan me.n jhuumte rahte the
ye vahii din hai.n
magar
in kii sub.he.n suunii hai.n
aur shaame.n roz
mere paas rakhii
tumhaarii sunahrii yaado.n kaa kuchh hissa le kar
KHud ko sa.nvaartii hai.n
parinde mohabbat kii nazme.n bhuul chuke hai.n
vo
merii or dekhte hai.n
aur palaT jaate hai.n
mai.n un kii bolii bhuul chukii huu.n
jaise tumhaaraa KHayaal
jo ab mere paas nahii.n rahaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.