Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhu.ndlii yaade.n

Monika Sharma Sarthi

dhu.ndlii yaade.n

Monika Sharma Sarthi

hamesha muntazir rahii mai.n

KHush-gavaar palo.n kii

jo Dubo de.n dil ko sukuun ke samundar me.n

gahraa.ii tak

aur zinda rakhe mujhe us ehsaas ke jahaan me.n

jo faqat aur faqat KHvaabo.n me.n hii apnaa lagtaa hai ab

jo vaqt kii raftaar me.n

thak gayaa puurii tarah

aur baiTh gayaa dubak kar biite hu.e kal me.n

yaqiinan har baar milaa hai

vahii aaraam chain aur amn

jo baKHshtaa rahaa mujhe saa.ns ab tak

jii uThaa vahii ehsaas

aaj phir baiThii huu.n mai.n zehn ke aa.iina-KHaane ko saaf karne

kuchh adhuure kuchh puure palo.n me.n simTe hu.e

vaqt ke chiith.De ko haath me.n le kar

be-shak ubhar aa.ii hai.n ka.ii saarii dhu.ndlii yaade.n

aur kar ga.ii hai.n mujhe taaza-tariin

ek bahkii sii muskaan mere chehre par chho.D kar

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now