ek be-chehra aadmii se milne kii KHvaahish
roz mujhe ek KHat likhne par
majbuur kartii hai
aa.nsuu siyaahii
aur
KHaamoshii
qaasid ban jaatii hai
mai.n KHat ke javaab ke intizaar me.n
ek aur KHat likhtii huu.n
kamre kii har chiiz
chehro.n se bhar jaatii hai
aur shiishe me.n bhii
yak-baargii
hazaar chehre ubhar aate hai.n
jin ke qahqaho.n kii guu.nj se
raat sahm jaatii hai
aur mai.n
KHat sir.haane ke niiche rakhte hu.e
qahqaha lagaa kar so jaatii huu.n
ek be-chehra aadmii se milne kii KHvaahish
roz mujhe ek KHat likhne par
majbuur kartii hai
aa.nsuu siyaahii
aur
KHaamoshii
qaasid ban jaatii hai
mai.n KHat ke javaab ke intizaar me.n
ek aur KHat likhtii huu.n
kamre kii har chiiz
chehro.n se bhar jaatii hai
aur shiishe me.n bhii
yak-baargii
hazaar chehre ubhar aate hai.n
jin ke qahqaho.n kii guu.nj se
raat sahm jaatii hai
aur mai.n
KHat sir.haane ke niiche rakhte hu.e
qahqaha lagaa kar so jaatii huu.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.