kisii an-dekhii duniyaa ke kinaare par kha.De hai.n ham
hamaare haath me.n yaado.n ke kuchh matruuk sikke hai.n
jinhe.n ham phe.nknaa chaahe.n
to ko.ii rok detaa hai
hame.n maa'luum hai yaaro
kalaa.ii par kisii ke naam kaa tattoo banaane se
ko.ii apnaa nahii.n hotaa
nazar-andaaz logo.n kaa kahii.n bhii ghar nahii.n hotaa
hikaayat to hikaayat hai
haqiiqat me.n ko.ii reason hame.n zinda nahii.n rakhtaa
ye din bhii biit jaa.e.nge
abhii kuchh roz baaqii hai.n
dilo.n ke zaKHm bharne me.n zaraa sii der lagtii hai
magar tab tak
chalo chaa.e kii Table par kisii tasviir ko takte puraanaa giit sunte hai.n
kahaa.n ho tum chale aa.o mohabbat kaa taqaazaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.