mai.n ne chand piile KHvaab bo.e the
tab se nii.nd kaa suuraj merii aa.nkho.n me.n
tuluu' nahii.n hu.aa
chhuTTiyo.n me.n imtihaan kii tayyaarii karne ke bajaa.e
mai.n ne nafsiyaat kaa mutaale'a kiyaa
aur jaanaa ki socho.n se chhuTkaaraa paane ke liye
masruufiyaat ko ba.Dhaanaa chaahiye
lekin tumhe.n sochne ke sivaa
mujhe ko.ii aur kaam nahii.n milaa
sa.Dak kinaare baiThaa buu.Dhaa gul-farosh
mai.n us se ek kaa kahtii huu.n
lekin vo muskuraate hu.e mujhe do phuul detaa hai
chaa.e ke Dhaabe ke baahar ek bosiida mez
mujhe bahut pasand hai
kyo.n ki us par ko.ii nahii.n baiThtaa
chaa.e vaalaa jaantaa hai ki mujhe
miiThii chaa.e bilkul pasand nahii.n
lekin chand roz se vo miiThii chaa.e ke do cup laataa hai
aur vahaa.n baiThe log tahsiin bharii nigaaho.n se
merii jaanib dekhte hai.n
buu.Dhaa gul-farosh aur chaa.e vaalaa
mere bahut achchhe dost hai.n
mai.n jaantii huu.n vo jhuuT nahii.n bolte
is liye aa.iine me.n dekhtii huu.n
aur ghar me.n bhii har jagah tumhe.n talaash kartii huu.n
lekin tum kahii.n nahii.n milte
mai.n ka.ii baar nazar bhii check karvaa chukii huu.n
lekin 'ainak ke number me.n ko.ii izaafa nahii.n hu.aa
aur mai.n saarii raat use haath me.n pak.De
sochtii huu.n ki tum sab ko mere paas nazar aate ho
mai.n tumhe.n kyo.n dekh nahii.n paatii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.