ham aazaadii nahii.n chaahte
qahva-KHaane me.n barfaanii raat ke vaqt
coffee kii bhaap se nazre.n churaate
do shaa'ir baiThe hai.n
ek ke badan par chiith.Daa jacket
aur chehra baadalo.n me.n ghire hu.e
suuraj jaisaa hai
vo kaa.npte ho.nTo.n se kah rahaa hai
mai.n likhnaa chho.D chukaa huu.n
jabki duusraa likhne kii tarGiib dilaa rahaa hai
qahva-KHaane kii afsurda fazaa
un par nazre.n gaa.De baiThii thii
ki dono.n KHaamoshii se uTh kar chale ga.e
apnii Diary bhuul kar
jis me.n likhaa hai
ham aazaadii nahii.n chaahte
bhuuk hamaare chehro.n par chamaktii hai
qahva-KHaane me.n barfaanii raat ke vaqt
coffee kii bhaap se nazre.n churaate
do shaa'ir baiThe hai.n
ek ke badan par chiith.Daa jacket
aur chehra baadalo.n me.n ghire hu.e
suuraj jaisaa hai
vo kaa.npte ho.nTo.n se kah rahaa hai
mai.n likhnaa chho.D chukaa huu.n
jabki duusraa likhne kii tarGiib dilaa rahaa hai
qahva-KHaane kii afsurda fazaa
un par nazre.n gaa.De baiThii thii
ki dono.n KHaamoshii se uTh kar chale ga.e
apnii Diary bhuul kar
jis me.n likhaa hai
ham aazaadii nahii.n chaahte
bhuuk hamaare chehro.n par chamaktii hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.