ham kasii se puuchhe baGair zinda rahte hai.n
KHanjar ke phal par
ek taraf tumhaaraa naam likhaa hai
aur duusrii taraf meraa
jinhe.n pa.Dhnaa aataa hai
hame.n bataate hai.n
hame.n qatl kar diyaa jaa.egaa
jo daraKHt ugaataa hai
hame.n ek seb de detaa hai
ham KHanjar se seb ke
do Tuk.De kar dete hai.n
ham kisii se puuchhe baGair zinda rahte hai.n
aur kisii ko bataa.e baGair
mohabbat karte hai.n
mai.n ne gintii siikhii
aur yaad rakhaa
tum tak pahu.nchne ke liye mujhe
kitnii sii.Dhiyaa.n tai karnii pa.Dtii hai.n
ek din tum ye saarii sii.Dhiyaa.n
nazmo.n kii kitaab me.n rakh kar
mujhe de dogii
ek din mai.n tumhe.n bataa.uu.ngaa
samundar vahaa.n se shuruu.a hotaa hai
jahaa.n se KHushkii nazar aanii KHatm ho jaa.e
phir ham jab chaahe.nge
nazmo.n kii kitaab se
ek varaq phaa.D kar kashtii banaa le.nge
aur
duusraa varaq phaa.D kar
samundar
phir ham jab chaahe.nge
zamiin kii gardish rok kar
raqs karne lage.nge
naachte hu.e aadmii ke dil kaa nishaana
mushkil se liyaa jaa saktaa hai
KHanjar ke phal par
ek taraf tumhaaraa naam likhaa hai
aur duusrii taraf meraa
jinhe.n pa.Dhnaa aataa hai
hame.n bataate hai.n
hame.n qatl kar diyaa jaa.egaa
jo daraKHt ugaataa hai
hame.n ek seb de detaa hai
ham KHanjar se seb ke
do Tuk.De kar dete hai.n
ham kisii se puuchhe baGair zinda rahte hai.n
aur kisii ko bataa.e baGair
mohabbat karte hai.n
mai.n ne gintii siikhii
aur yaad rakhaa
tum tak pahu.nchne ke liye mujhe
kitnii sii.Dhiyaa.n tai karnii pa.Dtii hai.n
ek din tum ye saarii sii.Dhiyaa.n
nazmo.n kii kitaab me.n rakh kar
mujhe de dogii
ek din mai.n tumhe.n bataa.uu.ngaa
samundar vahaa.n se shuruu.a hotaa hai
jahaa.n se KHushkii nazar aanii KHatm ho jaa.e
phir ham jab chaahe.nge
nazmo.n kii kitaab se
ek varaq phaa.D kar kashtii banaa le.nge
aur
duusraa varaq phaa.D kar
samundar
phir ham jab chaahe.nge
zamiin kii gardish rok kar
raqs karne lage.nge
naachte hu.e aadmii ke dil kaa nishaana
mushkil se liyaa jaa saktaa hai
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 32)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.