jahannam kaa ek din aur mu'azziz aadmii
mai.n vahaa.n maujuud thaa
jab vo andar daaKHil hu.ii
mere saath ke logo.n ne
fiqre kasnaa shuruu' kar diye
us kii samajh me.n kuchh nahii.n aa rahaa thaa
kyuu.nki vo aisii la.Dkii thii
jis par shauhar ko maarne kaa ilzaam lagaa thaa
vo aa.nkhe.n phaa.De dekhe jaa rahii thii
vo ronaa chaahtii thii
magar nahii.n ro.ii
us ne apne haath
chhaatiyo.n par rakh rakhe the
shaayad ko.ii KHatra thaa
vo merii taraf hairat se dekh rahii thii
shaayad rahm kii darKHvaast ke liye
yaa mai.n sab se ziyaada
mu'azziz aadmii lagaa
log fiqre kase jaa rahe the
nigraan farishto.n kii Daa.nT ke baavajuud
us ne jab bhaag kar nikalnaa chaahaa
mai.n ne baazuu se paka.D kar
siine se lagaa liyaa
ho.nTo.n se tapish paa kar dilaasaa diyaa
ek mu'azziz aadmii kii tarah
mai.n vahaa.n maujuud thaa
jab vo andar daaKHil hu.ii
mere saath ke logo.n ne
fiqre kasnaa shuruu' kar diye
us kii samajh me.n kuchh nahii.n aa rahaa thaa
kyuu.nki vo aisii la.Dkii thii
jis par shauhar ko maarne kaa ilzaam lagaa thaa
vo aa.nkhe.n phaa.De dekhe jaa rahii thii
vo ronaa chaahtii thii
magar nahii.n ro.ii
us ne apne haath
chhaatiyo.n par rakh rakhe the
shaayad ko.ii KHatra thaa
vo merii taraf hairat se dekh rahii thii
shaayad rahm kii darKHvaast ke liye
yaa mai.n sab se ziyaada
mu'azziz aadmii lagaa
log fiqre kase jaa rahe the
nigraan farishto.n kii Daa.nT ke baavajuud
us ne jab bhaag kar nikalnaa chaahaa
mai.n ne baazuu se paka.D kar
siine se lagaa liyaa
ho.nTo.n se tapish paa kar dilaasaa diyaa
ek mu'azziz aadmii kii tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.