jang ke dino.n me.n mohabbat
jang ke maidaan me.n talvaare.n
apne dushmano.n kaa zikr kar rahii thii.n
aur thake-haare sipaahii
dafn kar rahe the
mujhe kuchh mu'azziz shahriyo.n ne zanjiiro.n se jak.Daa
aur u.Dte parindo.n ke paro.n se baa.ndh diyaa
ek jaziire par ku.aa.n dekh kar
parinde niiche utre
to gaagar bhartii ek la.Dkii ne mujhe aazaad kiyaa
aur ghar le aa.ii
jis kaa rang gehuu.n jaisaa
aur naaf zaraa gahrii thii
us ne apnii chhoTii bahan kii nisbat
barf pighalne kaa intizaar kiye baGair
vaqt kii aa.nkhe.n nikaal dii.n
ham ne ghar ke pichhvaa.De me.n
ek duusre ko jaanaa
aur sham' kii raushnii me.n
ho.nT chuume
ek raat gho.Do.n ke qadmo.n kii chaap sun kar
mai.n ne vasl kaa sar kaaTaa
aur shanaaKHt karvaa.e baGair mar gayaa
magar vo gehuu.n ke rang jaisii la.Dkii
jang ke maidaan me.n talvaare.n
apne dushmano.n kaa zikr kar rahii thii.n
aur thake-haare sipaahii
dafn kar rahe the
mujhe kuchh mu'azziz shahriyo.n ne zanjiiro.n se jak.Daa
aur u.Dte parindo.n ke paro.n se baa.ndh diyaa
ek jaziire par ku.aa.n dekh kar
parinde niiche utre
to gaagar bhartii ek la.Dkii ne mujhe aazaad kiyaa
aur ghar le aa.ii
jis kaa rang gehuu.n jaisaa
aur naaf zaraa gahrii thii
us ne apnii chhoTii bahan kii nisbat
barf pighalne kaa intizaar kiye baGair
vaqt kii aa.nkhe.n nikaal dii.n
ham ne ghar ke pichhvaa.De me.n
ek duusre ko jaanaa
aur sham' kii raushnii me.n
ho.nT chuume
ek raat gho.Do.n ke qadmo.n kii chaap sun kar
mai.n ne vasl kaa sar kaaTaa
aur shanaaKHt karvaa.e baGair mar gayaa
magar vo gehuu.n ke rang jaisii la.Dkii
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.