ham chaahne vaalo.n kii yaad me.n tohfo.n kii dukaan khole.nge
aur
un logo.n ko Daak bheje.nge
jinhe.n ko.ii KHat nahii.n likhtaa
ham aabshaar ke niiche ik-duuje kii aa.nkhe.n chuume.nge
aur banaa.e.nge
aag se zindagii phuul se maut
aag a.ndhero.n aur phuul nafrat kii vaadii me.n baa.nTne ke liye
mai.n ne tumhaare juuto.n se ek tasma nikaal kar kalaa.ii par baa.ndh liyaa hai
ab ek jang-juu ka.ii suurmaa.o.n pe bhaarii hai
saamaan me.n chaar huruuf talvaar aur phuulo.n ke biij rakh liye hai.n
mai.n huruuf se jang la.Duu.ngaa
talvaar se fat.h kaa jashn manaa.uu.ngaa
aslaha-saaz kaar-KHaano.n ko baaGiicho.n me.n badal duu.ngaa
mai.n rozaana
tumhe.n chuumne se zaraa pahle
tumhaare sir.haane ek guldasta rakhuu.ngaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.