ja.ngal ke paas ek aurat
nii.nd ke paas ek raat hai
mere paas ek kahaanii hai
ja.ngal ke paas ek aurat thii
aurat bachcha paidaa karne ke dard se mar rahii thii
ek shikaarii vahaa.n pahu.nch gayaa
aur bachche kii aa.nkho.n ke evaz
aurat kii madad karne par aamaada ho gayaa
aurat ne ju.Dvaa.n bachche jane
shikaarii ke haath
aa.nkho.n kii do jo.Diyaa.n aa.ii.n
us vaqt sikke iijaad nahii.n hu.e the
ek jo.Dii aa.nkh ke badle
zindagii bhar kaa saamaan KHariidaa jaa saktaa thaa
jo log duusro.n kii aa.nkhe.n haasil nahii.n kar sakte
apnii aa.nkho.n kaa saudaa kar lete
har saude kii tarah
bechte vaqt
aa.nkho.n kii sirf aadhii qiimat haasil hotii thii
aa.nkhe.n bechne vaale
sirf aadhii zindagii KHariid sakte the
aurat ne shikaarii se judaa ho kar
apne bachcho.n ko ja.ngal me.n chho.D diyaa
jaisaa ki us ne apne shauhar ko
samundar me.n chho.D diyaa thaa
bachche bhe.Diyo.n me.n pal kar ba.De hu.e
un me.n se har ek
duusre ko
apnii maa.n kii kokh kaa Gaasib
aur apnii aa.nkho.n ke saude kaa baa.is samajhne lagaa
jab
bailo.n me.n paa.nv TuuTne kii biimaarii phail jaane kii vaj.h se
andhe Gulaamo.n kii maa.ng ba.Dh ga.ii
ek burda-farosh
unhe.n bhe.Diyo.n ke Gol se churaa le gayaa
zamiin me.n jute hu.e andhe bhaa.ii
hal le kar itnii muKHaalif samt me.n chalte ki
un ke aaqaa ko
KHudaa se darKHvaast kar ke
ek kha.D-kha.Daane vaalaa saa.np un ke piichhe lagaanaa pa.Daa
mai.n bahut dino.n pahle
is shahr kaa muhaasara karne aayaa thaa
mere parcham par rahne vaalaa uqaab u.D gayaa
mere sipaahiyo.n ne
apnii talvaar Taksaalo.n me.n bech dii.n
gho.De ne apnii khaal
mashkiiza banaane vaale ko hadiya kar dii
shahr kii diivaaro.n me.n
shigaaf kahaa.n hai
ye us ke charvaaho.n ko bhii ma.aluum hai
aur un kii bhe.Do.n ko bhii
magar ye ja.ng
Gaddaaro.n aur chaupaayo.n ko bhii KHariid kar nahii.n jiitnaa chaahtaa
mai.n samundaro.n ko kashtiyo.n se
aur talvaar ko talvaar se naaptaa huu.n
mai.n Gulaam aurat kaa
Gulaam mard se paidaa hu.ii aulaad nahii.n
jo ek Gulaam shaaKH se kamaan
aur duusrii Gulaam shaaKH se tiir banaataa hai
mai.n us kha.Dkha.Daane vaale saa.np ko kuchal duu.ngaa
aur ju.Dvaa.n bhaa.iyo.n ke ka.ndhe se jo utaar kar
use gahrii khaa.ii me.n phe.nk duu.ngaa
mai.n unhe.n le kar ja.ngal me.n nikal aa.uu.ngaa
aur us shikaarii ko talaash karuu.ngaa
jo bachcha paidaa karne ke evaz us kii aa.nkhe.n talab kartaa hai
aur us maa.n ko talaash karuu.ngaa
jo baGair aa.nkho.n ke bachche ko chho.D kar bhaag jaatii hai
ek din bechii hu.ii aa.nkhe.n
shikaarii se saudaa kar vo shaKHs ko pahchaan le.ngii
aur andhe bachche
us aadmii se aahanii aa.nkhe.n chhiin kar
apne shikaarii ko Dhuu.nD nikaale.nge
aur shikaarii se us aurat kaa pataa puuchh kar rahe.nge
jo unhe.n ja.ngal me.n chho.D kar chalii ga.ii thii
chaahe vo aurat merii biivii hii kyo.n na ho

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.