kaa.enaat kaa aaKHirii dukh
KHudaa ke ghar me.n naqab lagaa kar
roTiyaa.n churaane vaale
jab footpath par baiTh kar khaane lage
ka.ii din se bhuuke kutto.n ne shor machaa kar
pahre-daaro.n ko aagaah kar diyaa
vo tiin tikonii baargaah me.n pesh kiye ga.e
to insaaf kii uu.nchii masnad par
tasbiih ke daano.n ne dastak dii
jo mismaar shahr se baraamad hu.e
aur saste daamo.n KHariide ga.e fatvo.n kaa aks
ek daa.ere me.n
ruuhaanii masarrat se jhuumne lagaa
soch ke sannaaTe me.n bayaan kiyaa gayaa
kaa.enaat kaa aaKHirii dukh
magar KHaamoshii ke saath tai kar dii ga.ii
shahr ke vastii chauk me.n shor machaatii
maut ke jashn kii taariiKH
aur pattharo.n kii baarish ke Dar se
dustbin me.n phe.nk diyaa gayaa
bhuuk kaa dastaKHat-shuda KHat bhii
phir KHudaa ke naam kii taKHtii dekh kar ghanTii bajaane vaalo.n ne
kaTahre ko ka.ii baar chuumaa
aur a.ndhere ke aage sajda-rez ho ga.e

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.