mai.n aur meraa kamra
mai.n daaKHil hotaa huu.n
darvaaza hamesha kahtaa rahtaa hai
mujhe band rakho yaa khulaa chho.D do
pankhe kii shadiid KHvaahish hotii hai
mai.n is se laTak kar KHud-kushii kar luu.n
taaki baaqii pa.nkho.n me.n is kaa naam mash.huur ho jaa.e
chhat apne andar
ek do tiin chaar suuraaKH chaahtii rahtii hai
taaki vo saa.ns le sake
almaarii mohabbat kii bhuukii hai
vo chaahtii hai
mai.n us kii god me.n sone kii 'aadat Daal luu.n
taaki vo sukuun kaa zaa.iqa chakh sake
bulb shohrat kaa bhuukaa hai
vo chaahtaa hai
mai.n use hamesha On rakhuu.n
taaki vo chamaktaa rahe aur nazar me.n rahe
khi.Dkii phailne kii koshish me.n
lagii rahtii hai
taaki vo puurii diivaar me.n samaa jaa.e
aur kamre kii us side ko
khi.Dkii kaa naam diyaa jaa.e
diivaare.n u.Dne kii koshish me.n
lagii rahtii hai.n
vo samajhtii hai.n
tamaam masaa.il kaa hal yahii hai
mai.n KHaarij hotaa huu.n
mai.n daaKHil hotaa huu.n
darvaaza hamesha kahtaa rahtaa hai
mujhe band rakho yaa khulaa chho.D do
pankhe kii shadiid KHvaahish hotii hai
mai.n is se laTak kar KHud-kushii kar luu.n
taaki baaqii pa.nkho.n me.n is kaa naam mash.huur ho jaa.e
chhat apne andar
ek do tiin chaar suuraaKH chaahtii rahtii hai
taaki vo saa.ns le sake
almaarii mohabbat kii bhuukii hai
vo chaahtii hai
mai.n us kii god me.n sone kii 'aadat Daal luu.n
taaki vo sukuun kaa zaa.iqa chakh sake
bulb shohrat kaa bhuukaa hai
vo chaahtaa hai
mai.n use hamesha On rakhuu.n
taaki vo chamaktaa rahe aur nazar me.n rahe
khi.Dkii phailne kii koshish me.n
lagii rahtii hai
taaki vo puurii diivaar me.n samaa jaa.e
aur kamre kii us side ko
khi.Dkii kaa naam diyaa jaa.e
diivaare.n u.Dne kii koshish me.n
lagii rahtii hai.n
vo samajhtii hai.n
tamaam masaa.il kaa hal yahii hai
mai.n KHaarij hotaa huu.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.