Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mai.n tumhe.n pukaartaa huu.n

Hafeez Tabassum

mai.n tumhe.n pukaartaa huu.n

Hafeez Tabassum

MORE BYHafeez Tabassum

    jab uu.nche pahaa.D par havaa.e.n

    chii.D ke patto.n se

    bansii bajaatii guzartii hai.n

    din KHaana-ba-dosho.n kii tarah bistar uThaa.e

    chaa.nd kaa ta'aaqub kartaa hai

    mai.n tumhe.n pukaartaa huu.n

    jab parinde barf-baarii ke KHauf se

    shaam se pahle ghar lauT chuke hai.n

    mai.n mallaah kii rasso.n se uljhii kashtii me.n

    kutto.n ke saath dubak kar baiThaa

    kisii mo'jize kaa muntazir huu.n

    mai.n tumhe.n pukaartaa huu.n

    jab duur se aane vaalii kuu.nje.n

    mausam ke badal jaane par u.Dii jaa rahii hai.n

    bandar-gaah par aaKHirii

    jahaaz langar-andaaz ho chukaa hai

    jhaag u.Daataa samundar

    hamaarii mohabbat ke saalaana sog me.n

    marsiye pa.Dh rahaa hai ki tum bahut duur ho

    bahut duur ho

    is qadar duur ho

    ki kuchh sun nahii.n saktii.n

    jab uu.nche pahaa.D par havaa.e.n

    chii.D ke patto.n se

    bansii bajaatii guzartii hai.n

    din KHaana-ba-dosho.n kii tarah bistar uThaa.e

    chaa.nd kaa ta'aaqub kartaa hai

    mai.n tumhe.n pukaartaa huu.n

    jab parinde barf-baarii ke KHauf se

    shaam se pahle ghar lauT chuke hai.n

    mai.n mallaah kii rasso.n se uljhii kashtii me.n

    kutto.n ke saath dubak kar baiThaa

    kisii mo'jize kaa muntazir huu.n

    mai.n tumhe.n pukaartaa huu.n

    jab duur se aane vaalii kuu.nje.n

    mausam ke badal jaane par u.Dii jaa rahii hai.n

    bandar-gaah par aaKHirii

    jahaaz langar-andaaz ho chukaa hai

    jhaag u.Daataa samundar

    hamaarii mohabbat ke saalaana sog me.n

    marsiye pa.Dh rahaa hai ki tum bahut duur ho

    bahut duur ho

    is qadar duur ho

    ki kuchh sun nahii.n saktii.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now