musavvir kii KHud-kushii
mai.n ne art ke school se
musavvirii kii taa'liim haasil kii
mai.n ne KHvaab kii tasviir banaa.ii
jis me.n tere narm gaal kaa bosa le rahaa thaa
aur terii aa.nkho.n me.n 'ajab sii chamak thii
ek tasviir me.n KHaalii sa.Dak ke kinaare
sardii duudhiyaa bulb kii raushnii me.n
uu.ngh rahii hai
ek tasviir me.n rail ke jaane par
tanhaa.ii platform ke bench se
mahv-e-guftuguu thii
ek tasviir me.n saahir shafiiq cigarette piite hu.e
cigarette noshii ke asaraat bataa rahe the
aur ek din
mai.n maut kaa manzar banaa rahaa thaa
ki farishte mere rang uThaa kar bhaag ga.e

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.