nazm
diimak chaaT letii hai
kabhii ham bhii apne narm lahje me.n
zabaan par ugte lafzo.n ko
kabhii nazmo.n kabhii Gazlo.n kii suurat gungunaayaa karte the
kitaabo.n me.n likhe harfo.n se
dilo.n ko musaKHKHar karte the
ki yahaa.n aa.e udaas logo.n ko
apnii udaasii bhuul jaatii thii
samaa.n badlaa aur rut badlii
ham aur vo kitaabe.n nazmo.n kii
ab Dher hai.n faqat kaaGaz ke
pas-e-zindaa.n
kisii taaqche me.n band
zabaan par ab bhii lafz ugte hai.n
magar taaqche kii diimak un ko chaaT letii hai
diimak chaaT letii hai
kabhii ham bhii apne narm lahje me.n
zabaan par ugte lafzo.n ko
kabhii nazmo.n kabhii Gazlo.n kii suurat gungunaayaa karte the
kitaabo.n me.n likhe harfo.n se
dilo.n ko musaKHKHar karte the
ki yahaa.n aa.e udaas logo.n ko
apnii udaasii bhuul jaatii thii
samaa.n badlaa aur rut badlii
ham aur vo kitaabe.n nazmo.n kii
ab Dher hai.n faqat kaaGaz ke
pas-e-zindaa.n
kisii taaqche me.n band
zabaan par ab bhii lafz ugte hai.n
magar taaqche kii diimak un ko chaaT letii hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.