nazm
jagah vahii thii lafz vahii the chehra badal chukaa thaa
old campus ke hare-bhare lawn me.n
mai.n ne dekhaa
vo us se kah rahaa thaa
suno tum merii pahlii aur aaKHirii mohabbat ho
aa.o in phuulo.n ko gavaah banaa kar ye 'ahd kare.n
ki saath mare.nge saath jiye.nge
aur vo maa'suum sii la.Dkii
aa.nkho.n me.n yaqiin kii chamak liye use dekh rahii thii
chand dino.n baa'd phir mai.n ne use dekhaa
vo aa.nkho.n me.n pyaar kii jot jagaa.e
old campus ke hare-bhare lawn me.n
kah rahaa thaa
tum merii pahlii aur aaKHirii mohabbat ho
aa.o in phuulo.n ko gavaah banaa kar ye 'ahd kare.n
saath mare.nge saath jiye.nge
aur mai.n ne dekhaa
jagah vahii thii lafz vahii the magar chehra badal chukaa thaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.