nazm
yuu.nhii raah chalte chalte
teraa KHayaal aa gayaa thaa
phir yuu.n lagaa ki jaise
be-KHudii sii chhaa ga.ii ho
aur raste bhii na jaane kis samt kho ga.e ho.n
ye samaa.n na jaane kitnii der tak rahaa thaa
ki palko.n kii garm namii se
ham hosh me.n aa ga.e the
zindagii kii ka.Dii masaafat me.n
vo KHayaal thaa na KHvaab thaa
bas tujh se bichha.D jaane kaa
yuu.nhii malaal saa chhaa gayaa thaa
yuu.nhii raah chalte chalte
teraa KHayaal aa gayaa thaa
phir yuu.n lagaa ki jaise
be-KHudii sii chhaa ga.ii ho
aur raste bhii na jaane kis samt kho ga.e ho.n
ye samaa.n na jaane kitnii der tak rahaa thaa
ki palko.n kii garm namii se
ham hosh me.n aa ga.e the
zindagii kii ka.Dii masaafat me.n
vo KHayaal thaa na KHvaab thaa
bas tujh se bichha.D jaane kaa
yuu.nhii malaal saa chhaa gayaa thaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.