Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazm

MORE BYTahira Jabeen Tara

    ha.nsii ha.nsii me.n

    yuu.nhii ha.nsii me.n

    ham dilo.n se khel lete hai.n

    kabhii chubhtaa hu.aa jumla

    ko.ii chhoTii sii baat

    bazaahir be-zarar magar zuu-maa’nii sii

    kabhii talKH saa lahja dil par ghaav lagaataa hai

    talaafii kaa ko.ii marham mudaavaa ban nahii.n saktaa

    qatra qatra KHuun

    hamesha ristaa rahtaa hai Tapaktaa rahtaa hai

    vo aa.nsuu jo aa.nkh se nahii.n girte

    kahii.n andar jam se jaate hai.n

    jaise shabnam yaa os kohar-aaluud shaamo.n me.n jam jaatii hai

    barf ko to suuraj kii kirne.n pighlaa detii hai.n

    lekin aa.nsuu kaa vo qatra jab bhii jamne ke liye nikaltaa hai

    aksar phail jaataa hai

    shaayad is liye

    ha.nsii ha.nsii me.n

    ham tum aksar

    dilo.n se khel lete hai.n

    ha.nsii ha.nsii me.n

    yuu.nhii ha.nsii me.n

    ham dilo.n se khel lete hai.n

    kabhii chubhtaa hu.aa jumla

    ko.ii chhoTii sii baat

    bazaahir be-zarar magar zuu-maa’nii sii

    kabhii talKH saa lahja dil par ghaav lagaataa hai

    talaafii kaa ko.ii marham mudaavaa ban nahii.n saktaa

    qatra qatra KHuun

    hamesha ristaa rahtaa hai Tapaktaa rahtaa hai

    vo aa.nsuu jo aa.nkh se nahii.n girte

    kahii.n andar jam se jaate hai.n

    jaise shabnam yaa os kohar-aaluud shaamo.n me.n jam jaatii hai

    barf ko to suuraj kii kirne.n pighlaa detii hai.n

    lekin aa.nsuu kaa vo qatra jab bhii jamne ke liye nikaltaa hai

    aksar phail jaataa hai

    shaayad is liye

    ha.nsii ha.nsii me.n

    ham tum aksar

    dilo.n se khel lete hai.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now