qabro.n par baarish
baarish girtii hai
maTyaalii qabro.n par baarish girtii hai
hadd-e-nazar tak jal-thal
siilaa siilaa KHvaab musalsal
yaad nahii.n mai.n ne baarish ko pahlii baar kahaa.n dekhaa thaa
khi.Dkii me.n yaa KHvaab me.n
chhat par yaa dariyaa ke kinaare
africa ke bachcho.n kii banjar aa.nkho.n me.n
yaa bangaal me.n nangii laasho.n vaale sogii saahilo.n par
kitnii baarishe.n dafn hai.n jaane is baarish ke niiche
ek galii ke ThanDe paanii me.n bhuulaa bachpan chaltaa thaa
ek mahaktaa aa.nchal ko.ii giilaa chehra po.nchh rahaa thaa
jaane kahaa.n mai.n phe.nk aayaa huu.n
vo dil aur vo juute
tairtii taKHtiyaa.n bhiige baste
pyaasii kuuk kisii koyal kii
duur harii tanhaa.ii me.n
ik giit jo us ke lab ne mere lab se ju.D kar gaayaa thaa
ik jaltii bujhtii shaam judaa.ii
saavan kii pahlii buu.ndo.n me.n
jis ne itne rang bhare the
merii umr ke KHaalii-pan me.n
aaj KHud us kaa apnaa ko.ii rang nahii.n
maTyaalii qabro.n par baarish girtii hai
be-maqsad hai jaise zindagii
be-ma.anii hai jaise maut

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.