raat 'adaalat hai
ham ka.Tahre me.n kha.De hai.n
suuraj se baGaavat ke ilzaam me.n
suuraj se baGaavat hamaaraa haq hai
jab sadiyo.n se hamaaraa KHitta
raushnii se KHaalii hai
aur duusrii jaanib raushnii kaa samundar
ThaaThe.n maartaa hai
taaza savaal taaza javaab maa.ngte hai.n
magar ham is zamaane me.n paidaa hu.e
jahaa.n taqliid ke sahiife pa.Dhne vaalaa
muqaddas hai
devtaa hai
kaun jaantaa hai
kis kaa kyaa jurm hai
hame.n ka.Tahre me.n kha.Daa kaun kar gayaa
aur faisla kaun sunaa.egaa
jab raat 'adaalat hai
din kii ko.ii ummiid nahii.n
ham pluto ke baasii hai.n
zamiin se hamaaraa ko.ii rishta nahii.n
ham ka.Tahre me.n kha.De hai.n
suuraj se baGaavat ke ilzaam me.n
suuraj se baGaavat hamaaraa haq hai
jab sadiyo.n se hamaaraa KHitta
raushnii se KHaalii hai
aur duusrii jaanib raushnii kaa samundar
ThaaThe.n maartaa hai
taaza savaal taaza javaab maa.ngte hai.n
magar ham is zamaane me.n paidaa hu.e
jahaa.n taqliid ke sahiife pa.Dhne vaalaa
muqaddas hai
devtaa hai
kaun jaantaa hai
kis kaa kyaa jurm hai
hame.n ka.Tahre me.n kha.Daa kaun kar gayaa
aur faisla kaun sunaa.egaa
jab raat 'adaalat hai
din kii ko.ii ummiid nahii.n
ham pluto ke baasii hai.n
zamiin se hamaaraa ko.ii rishta nahii.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.