Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

roz-marra kii zindagii

Komal Raja

roz-marra kii zindagii

Komal Raja

MORE BYKomal Raja

    roz-marra kii zindagii me.n

    khi.nchaa.o uljhaa.o hone se

    ko.ii badlaa.o kyo.n nahii.n aataa

    jabki roz-marra kii zindagii me.n

    khi.nchaa.o uljhaa.o hone se

    jazbe to badal jaate hai.n

    phir mu'aamalaat aur maa’muulaat kyo.n nahii.n badalte

    mai.n ne dosto.n ko khoyaa hai

    roz-marra kii bak-bak me.n

    magar bhuuk vaqt par lagtii hai

    aur savere aa.nkh bhii nahii.n khultii

    mai.n ne mohabbato.n ko paamaal hote dekhaa hai

    roz-marra kii zaruuriyaat me.n

    magar daftar vaqt par pahu.nchnaa hai

    aur kap.De hamesha istirii ho.n

    mai.n ne qurbato.n ko duuriyo.n ke sipurd kiyaa hai

    roz-marra kii planned tarjiihaat me.n

    magar aa.nkho.n ke gird ko.ii halqe nahii.n

    ki face kii ba.Dii value hai market me.n

    mai.n ne mohabbat me.n kii jaane vaalii

    ka.ii suicide attempts kaamyaab hote dekhii hai.n

    roz-marra ke sho’ba-e-haadsaat me.n

    magar shaadiyaa.n baraabar hotii hai.n

    aur jo.Daa-e-‘uruusii ke mu'aamle me.n

    brand par compromise nahii.n

    mai.n ne suuraj Guruubte samay

    ka.ii dil dukh me.n Duubte dekhe hai.n

    roz-marra kii bhii.D me.n

    magar har raat online bhii honaa hai

    ki socialization bahar-haal need of hour hai

    roz-marra kii zindagii me.n

    khi.nchaa.o uljhaa.o hone se

    ko.ii badlaa.o kyo.n nahii.n aataa

    jabki roz-marra kii zindagii me.n

    khi.nchaa.o uljhaa.o hone se

    jazbe to badal jaate hai.n

    phir mu'aamalaat aur maa’muulaat kyo.n nahii.n badalte

    mai.n ne dosto.n ko khoyaa hai

    roz-marra kii bak-bak me.n

    magar bhuuk vaqt par lagtii hai

    aur savere aa.nkh bhii nahii.n khultii

    mai.n ne mohabbato.n ko paamaal hote dekhaa hai

    roz-marra kii zaruuriyaat me.n

    magar daftar vaqt par pahu.nchnaa hai

    aur kap.De hamesha istirii ho.n

    mai.n ne qurbato.n ko duuriyo.n ke sipurd kiyaa hai

    roz-marra kii planned tarjiihaat me.n

    magar aa.nkho.n ke gird ko.ii halqe nahii.n

    ki face kii ba.Dii value hai market me.n

    mai.n ne mohabbat me.n kii jaane vaalii

    ka.ii suicide attempts kaamyaab hote dekhii hai.n

    roz-marra ke sho’ba-e-haadsaat me.n

    magar shaadiyaa.n baraabar hotii hai.n

    aur jo.Daa-e-‘uruusii ke mu'aamle me.n

    brand par compromise nahii.n

    mai.n ne suuraj Guruubte samay

    ka.ii dil dukh me.n Duubte dekhe hai.n

    roz-marra kii bhii.D me.n

    magar har raat online bhii honaa hai

    ki socialization bahar-haal need of hour hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now