Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruuh me.n jhaa.nkne vaalii 'ainak

Hafeez Tabassum

ruuh me.n jhaa.nkne vaalii 'ainak

Hafeez Tabassum

MORE BYHafeez Tabassum

    jism-faroshii kii taariiKH qadiim hai

    bahut qadiim

    jaise roTii kii iijaad

    ek qadiim tarz kaa kamra

    jis kaa palastar gir rahaa hai

    kasbiyo.n ke KHvaab kii maanind

    vo baiThii hai.n buu.Dhii naa.ika ke saamne

    baa-adab aur KHaamosh jaise

    kisii raahib kaa vaa’z ho rahaa ho

    dekho ye murdo.n kaa ijtimaa’ hai

    jo kal bhii thaa aaj bhii hai

    aur rahtii duniyaa tak rahegaa

    ye sab intizaar kar rahii hai.n

    apne kumbe kii bhuuk kaa

    aur tum bahut duur se

    phuulii hu.ii saa.ns lete aate ho

    kisii ek par nigaah-e-karam karte ho

    baaqii sab kii ruuh me.n jhaa.nk kar dekho

    kitnii afsurda hai.n

    magar ruuh me.n jhaa.nkne vaalii 'ainak

    abhii iijaad nahii.n hu.ii

    jism-faroshii kii taariiKH qadiim hai

    bahut qadiim

    jaise roTii kii iijaad

    ek qadiim tarz kaa kamra

    jis kaa palastar gir rahaa hai

    kasbiyo.n ke KHvaab kii maanind

    vo baiThii hai.n buu.Dhii naa.ika ke saamne

    baa-adab aur KHaamosh jaise

    kisii raahib kaa vaa’z ho rahaa ho

    dekho ye murdo.n kaa ijtimaa’ hai

    jo kal bhii thaa aaj bhii hai

    aur rahtii duniyaa tak rahegaa

    ye sab intizaar kar rahii hai.n

    apne kumbe kii bhuuk kaa

    aur tum bahut duur se

    phuulii hu.ii saa.ns lete aate ho

    kisii ek par nigaah-e-karam karte ho

    baaqii sab kii ruuh me.n jhaa.nk kar dekho

    kitnii afsurda hai.n

    magar ruuh me.n jhaa.nkne vaalii 'ainak

    abhii iijaad nahii.n hu.ii

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now