Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samundar ne tum se kyaa kahaa

Afzal Ahmad Syed

samundar ne tum se kyaa kahaa

Afzal Ahmad Syed

MORE BYAfzal Ahmad Syed

    samundar ne tum se kyaa kahaa

    istiGaasa ke vakiil ne tum se puuchhaa

    aur tum rone lagii.n

    janaab-e-aalii ye savaal Gair-zaruurii hai

    safaa.ii ke vakiil ne tumhaare aa.nsuu po.nchhte hu.e kahaa

    adaalat ne tumhaare vakiil kaa e'tiraaz

    aur tumhaare aa.nsuu mustarad kar diye

    aa.nsuu record-room me.n chale ga.e

    aur tum apnii koTharii me.n

    ye shahr sat.h-e-samandar se niiche aabaad hai

    ye adaalate.n shahr kii satah se bhii niiche

    aur zer-e-samaa.at mulzimo.n kii koThriyaa.n

    in se bhii niiche

    koThrii me.n ko.ii tumhe.n resham kii ek Dor de jaataa hai

    tum har peshii tak ek shaal bun letii ho

    aur adaalat barKHaast ho jaane ke baad

    use udhe.D detii ho

    ye Dor tumhe.n kahaa.n se milii

    suprentendent of prisons tum se puuchhtaa hai

    ye Dor ek shaKHs laayaa thaa

    apne paa.nv me.n baa.ndh kar

    ek balaa ko KHatm karne ke liye

    ek pur-pech raaste se guzarne ke liye

    vo aadmii ab kahaa.n hai

    ThanDe paanii me.n tumhe.n Gota de kar puuchhaa jaataa hai

    vo aadmii raasta kho baiThaa

    samundar ne tum se yahii kahaa thaa

    samundar ne tum se kyaa kahaa

    istiGaasa ke vakiil ne tum se puuchhaa

    aur tum rone lagii.n

    janaab-e-aalii ye savaal Gair-zaruurii hai

    safaa.ii ke vakiil ne tumhaare aa.nsuu po.nchhte hu.e kahaa

    adaalat ne tumhaare vakiil kaa e'tiraaz

    aur tumhaare aa.nsuu mustarad kar diye

    aa.nsuu record-room me.n chale ga.e

    aur tum apnii koTharii me.n

    ye shahr sat.h-e-samandar se niiche aabaad hai

    ye adaalate.n shahr kii satah se bhii niiche

    aur zer-e-samaa.at mulzimo.n kii koThriyaa.n

    in se bhii niiche

    koThrii me.n ko.ii tumhe.n resham kii ek Dor de jaataa hai

    tum har peshii tak ek shaal bun letii ho

    aur adaalat barKHaast ho jaane ke baad

    use udhe.D detii ho

    ye Dor tumhe.n kahaa.n se milii

    suprentendent of prisons tum se puuchhtaa hai

    ye Dor ek shaKHs laayaa thaa

    apne paa.nv me.n baa.ndh kar

    ek balaa ko KHatm karne ke liye

    ek pur-pech raaste se guzarne ke liye

    vo aadmii ab kahaa.n hai

    ThanDe paanii me.n tumhe.n Gota de kar puuchhaa jaataa hai

    vo aadmii raasta kho baiThaa

    samundar ne tum se yahii kahaa thaa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now