Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr ke tamaam medical sToro.n par

Hafeez Tabassum

shahr ke tamaam medical sToro.n par

Hafeez Tabassum

MORE BYHafeez Tabassum

    chhaape ke Dar se hamal giraane kii goliyaa.n

    panaDol ke Dibbo.n me.n chhupaa dii ga.ii hai.n

    aur be-hoshii ke syrup

    khaa.nsii ke sharbat kii botalo.n me.n

    anaa.Dii daa.iyo.n kaa kaarobaar chamak uThaa hai

    aaj isii liye saaraa din

    edhii kii ambulanco.n ke horn

    chiiKHte chi.nghaa.Dte phirte rahe

    aur haspataal ke emergency ward me.n nurse.n

    jismo.n ko TaTol kar lutf-andoz hotii rahii.n

    youtube kii Gair mu’ayyana bandish par

    aaj phir shahr me.n ehtijaaj hu.aa

    jis me.n KHaasii taa'daad

    la.Dkiyo.n kii thii

    chhaapa-maar team kii sarbaraah raat ga.e

    intizaamiya ko report fax karne ke baa'd

    mamnuu’a adviyaat par paabandii haTaane kaa notice

    tahriir kar rahii hai

    jis me.n likhaa hai

    agar ye saKHtii kuchh roz barqaraar rahii

    to desii ToTko.n se kiye ga.e abortion

    amvaat me.n izaafe kaa baa'is bane.nge

    chhaape ke Dar se hamal giraane kii goliyaa.n

    panaDol ke Dibbo.n me.n chhupaa dii ga.ii hai.n

    aur be-hoshii ke syrup

    khaa.nsii ke sharbat kii botalo.n me.n

    anaa.Dii daa.iyo.n kaa kaarobaar chamak uThaa hai

    aaj isii liye saaraa din

    edhii kii ambulanco.n ke horn

    chiiKHte chi.nghaa.Dte phirte rahe

    aur haspataal ke emergency ward me.n nurse.n

    jismo.n ko TaTol kar lutf-andoz hotii rahii.n

    youtube kii Gair mu’ayyana bandish par

    aaj phir shahr me.n ehtijaaj hu.aa

    jis me.n KHaasii taa'daad

    la.Dkiyo.n kii thii

    chhaapa-maar team kii sarbaraah raat ga.e

    intizaamiya ko report fax karne ke baa'd

    mamnuu’a adviyaat par paabandii haTaane kaa notice

    tahriir kar rahii hai

    jis me.n likhaa hai

    agar ye saKHtii kuchh roz barqaraar rahii

    to desii ToTko.n se kiye ga.e abortion

    amvaat me.n izaafe kaa baa'is bane.nge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now