shikaarii kii maut
hambaabaa ke jangal me.n shikaarii kii maut vaaqe' hu.ii
aur aaKHirii rusuum kii adaa.egii
pakkii ii.nTo.n ke bane pushto.n vaale shahr me.n hu.ii
maa’bad ke purohit ne us kaa mujassama banvaayaa
jis kii aa.nkh ke liye ret ne shiisha
libaas ke liye daraKHt ne resham
zirah ke liye zamiin ne kaa.nsii aur lohaa
aur dil ke liye pahaa.D ne patthar daan kiyaa
aahan-garo.n ne ek lauh tayyaar kii
aur mujassame ke qadmo.n me.n nasab kar dii
likhne vaale ne laaj-vard piisaa
aur chandan kii lak.Dii se qalam taraashaa
purohit ne us par KHudaavand-e-'aziim kaa paiGaam likhvaayaa
shikaar ke devtaa kaa manzuur-e-nazar
jis ke vaar se bach nikalnaa naa-mumkin thaa
jis ke bhaale ne shikaar ke ta'aaqub me.n
jhaa.Diyo.n ke siine phaa.D diye
jis kii parvarish jangal ke jaanvaro.n ne apne duudh se kii
jis ne hirno.n ke saath chauk.Diyaa.n bharii.n
aur ThanDe chashmo.n se paanii piyaa
jis ne apne libaas ke liye chiito.n kii khaale.n udhe.Dii.n
aur KHuraak ke liye te.ndve kaa gosht khaayaa
jis ne maa’bad ke liye qurbaaniyaa.n cha.Dhaa.ii.n
aur apnii zamiin par maa’bad ke KHudaavand kaa hukm manvaayaa
ai mash.huur shikaarii
devtaa tujhe apnii KHushnuudii baKHshe.n
aur apne muqaddas hauz se sharaab pilaa.e.n
tujhe us dastarKHvaan kaa khaanaa khilaa.e.n
jise devtaa.o.n ko jan.ne vaalii ne apne haatho.n se chunaa ho

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.