tissue paper par banii ek drawing
shahr me.n Gair e’laaniya curfew hai
har darvaaze ke baahar
ek rangruuT pahra de rahaa hai
khaane piine kii chiize.n
saKHt talaashii ke baa'd laa.ii jaatii hai.n
albatta kaaGaz qalam
aur kitaabo.n par paabandii hai
mere beTe ne tissue paper par
jhaa.Duu ke tinke se niil lagaa kar
ek drawing banaa.ii
rangruuT kii ghanii muu.nchhe.n
bhaarii booT
aur KHaufnaak aa.nkhe.n
jise ham curfew ke baa'd shiishe ke frame me.n
diivaar par lagaa.e.nge
shahr me.n Gair e’laaniya curfew hai
har darvaaze ke baahar
ek rangruuT pahra de rahaa hai
khaane piine kii chiize.n
saKHt talaashii ke baa'd laa.ii jaatii hai.n
albatta kaaGaz qalam
aur kitaabo.n par paabandii hai
mere beTe ne tissue paper par
jhaa.Duu ke tinke se niil lagaa kar
ek drawing banaa.ii
rangruuT kii ghanii muu.nchhe.n
bhaarii booT
aur KHaufnaak aa.nkhe.n
jise ham curfew ke baa'd shiishe ke frame me.n
diivaar par lagaa.e.nge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.