tum ne Thiik kahaa thaa
ham nazriyaatii iKHtilaafaat ke baavajuud ek saath rah sakte hai.n
yaa kam se kam aisaa ta.assur de sakte hai.n
ham ek duusre kii KHushii kaa KHayaal rakh sakte hai.n
ye jaante hu.e bhii ki
KHushii kii sharaab aise daraKHt se paidaa hotii hai
jo aadam-KHoro.n ke jaziire me.n ugtaa hai
ham ek saath duniyaa ghuum sakte hai.n
chaa.e pii sakte hai.n
aur baarish yaa dhund me.n paidal chal sakte hai.n
ham ek duusre ko ha.nsaane ke liye
kahaaniyaa.n gha.D sakte hai.n
yaa dil bahlaane ke liye
jhuuT-muuT dildaarii kar sakte hai.n
ham mahaz vaqt guzaarne ke liye
apnaa maazii ek duusre ke saamne rakh sakte hai.n
yaa mustaqbil ke KHvaab bun sakte hai.n
ham bhuul jaane ke liye
aasaanii se qasme.n khaa sakte hai.n
aur to.Dne ke liye
suhuulat se vaa'de kar sakte hai.n
bilkul isii tarah
ham sach bol sakte hai.n
thak jaane kaa iz.haar kar sakte hai.n
aur chehre se masnuu'ii mohabbat kaa KHol utaar sakte hai.n
tum ne Thiik kahaa thaa
ham vo sab kuchh kar sakte hai.n
jo duniyaa me.n kahii.n bhii
do mohabbat karne vaale karte hai.n
magar
ham ek saath zindagii enjoy nahii.n kar sakte
zindagii ek taataarii hiran hai
aur mai.n kisii haare hu.e lashkar kaa mafruur sipaahii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.