'umr-e-ravaa.n
zindagii raat ko mujhe utaar kar
khuu.nTii par laTkaatii hai
magar
khuu.nTii mujhe qubuul nahii.n kartii
kyo.n ki
mai.n bhaarii huu.n aur kap.Daa nahii.n huu.n
kamre kii diivaare.n
din bhar kaa haal puuchhtii hai.n
aur bataatii hai.n
magar
zindagii hame.n KHaamosh karaa kar so jaatii hai
kyo.n ki
use shor me.n nii.nd nahii.n aatii
ham aa.nkh band kar ke
sub.h tak sone kii adaakaarii karte hai.n
aur sub.h
zindagii mujhe pahan kar kaam par nikal jaatii hai
zindagii raat ko mujhe utaar kar
khuu.nTii par laTkaatii hai
magar
khuu.nTii mujhe qubuul nahii.n kartii
kyo.n ki
mai.n bhaarii huu.n aur kap.Daa nahii.n huu.n
kamre kii diivaare.n
din bhar kaa haal puuchhtii hai.n
aur bataatii hai.n
magar
zindagii hame.n KHaamosh karaa kar so jaatii hai
kyo.n ki
use shor me.n nii.nd nahii.n aatii
ham aa.nkh band kar ke
sub.h tak sone kii adaakaarii karte hai.n
aur sub.h
zindagii mujhe pahan kar kaam par nikal jaatii hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.