vasiyyat
mere paas tiin chiize.n hai.n
ret mujhe viraasat me.n milii
patthar mai.n ne mehnat se kamaayaa
aur ye tho.Dii sii dhuup mujhe sa.Dak par
pa.Dii hu.ii milii
mai.n ne ret se apnii umr banaa.ii
mai.n ne patthar apne peT par baa.ndhaa
mai.n ne dhuup se apnaa saaya banaayaa
mai.n apne saa.e me.n chaltaa huu.n
mai.n apnii dhuup me.n jaltaa huu.n
mai.n kisii pe.D kaa ehsaan nahii.n luu.ngaa
chalte chalte ik din apne saa.e par gir jaa.uu.ngaa
tum mujhe merii ret me.n dafn karnaa
meraa patthar mere peT se khol kar merii qabr kaa
katba banaanaa
aur merii dhuup ko aazaad kar denaa
mere paas tiin chiize.n hai.n
ret mujhe viraasat me.n milii
patthar mai.n ne mehnat se kamaayaa
aur ye tho.Dii sii dhuup mujhe sa.Dak par
pa.Dii hu.ii milii
mai.n ne ret se apnii umr banaa.ii
mai.n ne patthar apne peT par baa.ndhaa
mai.n ne dhuup se apnaa saaya banaayaa
mai.n apne saa.e me.n chaltaa huu.n
mai.n apnii dhuup me.n jaltaa huu.n
mai.n kisii pe.D kaa ehsaan nahii.n luu.ngaa
chalte chalte ik din apne saa.e par gir jaa.uu.ngaa
tum mujhe merii ret me.n dafn karnaa
meraa patthar mere peT se khol kar merii qabr kaa
katba banaanaa
aur merii dhuup ko aazaad kar denaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.