vasiyyat
us vaqt jab tum kisii vaadii me.n kaasht kii ga.ii
jald ug aane vaalii fasl kaaTte hu.e
ko.ii lok-giit gungunaa rahii thii.n
mai.n jang par ravaana ho chukaa thaa
mere saamaan-e-harb me.n ek zang-aaluud talvaar
aur tumhaare boso.n se sajii hu.ii zirah hai
mai.n ne sanglaaKH zamiino.n me.n gulaab bone
aur pahaa.Do.n kii choTiyo.n par sabza ugaane ke liye
dasht ke siine par se nadii guzaarii hai
mai.n ne munjamid samundaro.n par safar kiyaa hai
jin kaa namkiin paanii jahaazo.n ke pende nigal jaataa hai
mere paa.nv is taviil masaafat se chuur hai.n
meraa lahja raah kii zaalim havaa ke thape.De khaa kar saKHt ho gayaa hai
mere lafz khurdure ho chuke hai.n
aise lafz sirf jang ke maidaan ke liye hote hai.n
tumhaarii aa.nkho.n par nazm kahne
aur tum se mohabbat ke iz.haar ke liye nahii.n
merii vo nazme.n jo kabhii kisii ne nahii.n gungunaa.ii.n
mere vo KHutuut jo kabhii kahii.n nahii.n bheje ga.e
mere saath us qabr me.n dafn kiye jaa.e.n
jis par kabhii ko.ii katba nahii.n lagegaa
faateh fauj ke gho.Do.n ke nathuno.n se nikaltii garm saa.ns
haDDiyo.n kaa guudaa aur chehre kaa maas siyaah kar rahii hai
vaqt kaa naa-hamvaar pahiyo.n vaalaa rath
KHvaahisho.n ke narm jism par chalaayaa jaa rahaa hai
is se pahle ki ko.ii tiir merii e.Dii me.n lage
mai.n vasiyyat kartaa huu.n
merii zirah ke husuul ke liye ko.ii jang na la.Dii jaa.e

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.