ghar se baahar nikal kar
chehre par muskuraahaT sajaa.ii
aur
tumhaarii yaado.n ko
jo hamaarii pahlii yaad ke sivaa
sab merii KHud-saaKHta thii.n
sa.Dak par aazaad chho.D diyaa
traffic ruk ga.ii
mai.n ne apnaa haath
hamaarii pahlii yaad ke haath me.n thamaa kar
KHud ko sa.Dak paar karvaa.ii
aur kaan lagaa kar
havaa kii baate.n sun.ne lagii
magar vahaa.n
mutajassis aur afsurda
sargoshiyo.n ke sivaa kuchh na thaa
sa.Dak ke duusre kinaare kha.Dii
mai.n soch rahii huu.n
yaad gho.nsle me.n pa.De
us biimaar parinde kii tarah hotii hai
jis se faqat chand roz gho.nsle kaa
bharam qaa.em rah saktaa hai
aur sargoshiyaa.n
jhuuT ko sach nahii.n maan saktii.n
jaise abhii
fazaa me.n ek sargoshii tair rahii hai
yaad vujuud maa.ngtii hai
naaTak nahii.n kar saktii
ghar se baahar nikal kar
chehre par muskuraahaT sajaa.ii
aur
tumhaarii yaado.n ko
jo hamaarii pahlii yaad ke sivaa
sab merii KHud-saaKHta thii.n
sa.Dak par aazaad chho.D diyaa
traffic ruk ga.ii
mai.n ne apnaa haath
hamaarii pahlii yaad ke haath me.n thamaa kar
KHud ko sa.Dak paar karvaa.ii
aur kaan lagaa kar
havaa kii baate.n sun.ne lagii
magar vahaa.n
mutajassis aur afsurda
sargoshiyo.n ke sivaa kuchh na thaa
sa.Dak ke duusre kinaare kha.Dii
mai.n soch rahii huu.n
yaad gho.nsle me.n pa.De
us biimaar parinde kii tarah hotii hai
jis se faqat chand roz gho.nsle kaa
bharam qaa.em rah saktaa hai
aur sargoshiyaa.n
jhuuT ko sach nahii.n maan saktii.n
jaise abhii
fazaa me.n ek sargoshii tair rahii hai
yaad vujuud maa.ngtii hai
naaTak nahii.n kar saktii
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.