yaado.n kii zanjiir
mujhe ek ‘arabii la.Dkii
itnaa bhaatii hai
jitnaa ki aa.nkho.n ko sabz rang
yaa jitnaa ki chyuu.nTii ko chiinii
chyuu.nTii se yaad aayaa
pareshaaniyaa.n chyuu.nTiyo.n kii tarah
qataar banaa kar mere dar par kha.Dii hai.n
ek mil kar jaatii hai
to duusrii daaKHil hotii hai
mulaaqaato.n kaa ye na rukne vaalaa silsila
aaKHir shuruu' kahaa.n se hu.aa thaa
mujhe yaad nahii.n
mulaaqaat se yaad aayaa
tumhe.n mujh se mile yaa judaa hu.e
kitnaa 'arsa ho gayaa
ek do tiin janam
yaa phir
saat janam
janam se yaad aayaa
meraa janam
kaa.enaat ke janm ke saath hu.aa thaa
osho kahtaa hai
ham existence kaa ek part hai.n
mujhe ab yaad aayaa
pareshaaniyaa.n tab se mere piichhe
haath dho kar pa.Dii hai.n
haath se yaad aayaa
tum mere saath kitne haath kar chukii ho
kyaa tumhe.n yaad hai
mujhe ek ‘arabii la.Dkii
itnaa bhaatii hai
jitnaa ki aa.nkho.n ko sabz rang
yaa jitnaa ki chyuu.nTii ko chiinii
chyuu.nTii se yaad aayaa
pareshaaniyaa.n chyuu.nTiyo.n kii tarah
qataar banaa kar mere dar par kha.Dii hai.n
ek mil kar jaatii hai
to duusrii daaKHil hotii hai
mulaaqaato.n kaa ye na rukne vaalaa silsila
aaKHir shuruu' kahaa.n se hu.aa thaa
mujhe yaad nahii.n
mulaaqaat se yaad aayaa
tumhe.n mujh se mile yaa judaa hu.e
kitnaa 'arsa ho gayaa
ek do tiin janam
yaa phir
saat janam
janam se yaad aayaa
meraa janam
kaa.enaat ke janm ke saath hu.aa thaa
osho kahtaa hai
ham existence kaa ek part hai.n
mujhe ab yaad aayaa
pareshaaniyaa.n tab se mere piichhe
haath dho kar pa.Dii hai.n
haath se yaad aayaa
tum mere saath kitne haath kar chukii ho
kyaa tumhe.n yaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.