sham ka sahar
abhī parchhā.iyāñ ūñche daraḳhtoñ kī
judā lagtī haiñ rañg-e-āsmāñ se
zarā pahle gayā hai ik parinda baaġh kī jānib
udhar se aane vaale ek tayyāre kī rañgīñ batiyāñ
raushan nahīñ utnī
vo niklī haiñ sabhī chamgādaḌeñ apne Thikānoñ se
baḌā mub.ham sā aayā hai nazar zohrā falak ke beach
T kozī ke nīche hai garm ab bhī bachā paanī
kisī ne mujh ko andar se nahīñ āvāz bhī dī
maiñ
zarā barāmde meñ aur rah luuñ
fusūñ meñ shaam ke pravāsī bah luuñ
abhi parchhaiyan unche daraKHton ki
juda lagti hain rang-e-asman se
zara pahle gaya hai ek parinda bagh ki jaanib
udhar se aane wale ek tayyare ki rangin batiyan
raushan nahin utni
wo nikli hain sabhi chamgadaDen apne Thikanon se
baDa mubham sa aaya hai nazar zohra falak ke beach
T kozi ke niche hai garm ab bhi bacha pani
kisi ne mujh ko andar se nahin aawaz bhi di
main
zara baramde mein aur rah lun
fusun mein sham ke prawasi bah lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.