KHabar wahshat-asar thi
ḳhabar vahshat-asar thī
use aise lagā
jaise zamīñ paañv ke nīche se saraktī jā rahī hai
tabaq sātoñ ke sātoñ āsmāñ ke is ke sar par aa gire haiñ
ik dhamāke se
nazar ke sāmne hadd-e-nazar tak ek kaalī dhuñd ke
manzar shikan parde
zamīñ se āsmāñ tak tan ga.e haiñ
havā ke paañv meñ man man kī zanjīreñ paḌī haiñ
udhar dil ko TaTolā to lagā use
ki jaise āsmāñ kī vus.atoñ meñ koī tayyāra ghirā huā āñdhiyoñ meñ
aur girdāb havā.ī meñ musalsal pai-ba-pai khātā ho hachkole
udhar chehre ko dekhā to lagā aise
ki jaise us kitāb-e-zindagī se
saare harfoñ kī chamaktī raushnā.ī uḌ chukī ho
ḳhalish aise thī siine meñ
ki jaise koī kāñTe-dār jhāḌī par mahīn malmal ko bedardī se khīñche
aur tār-o-tār kar Daale
lahū saare badan kā khiñch ke āñkhoñ ke shikasta jām-o-mīnā se
Tapaknā chāhtā thā
use is haal meñ dekhā to ā.īne chaTaḳh kar reza reza ho ga.e
aur aarzū ke us bahisht-ābād kī sab chīzeñ
apne apne markaz se lagīñ ha.Tne
falak ko chūmne vaale kalas aur kañgare pal-pal bhar meñ miTTī chāTte the
aur dhartī kī shikasta jā-ba-jā kaT jaane vaalī
sard rekhāoñ meñ apne Thokareñ khāte muqaddar DhūñDte the
daraḳht apnī jagah se hil ga.e
aur un kī shāḳhoñ par ladā sab baur
phal banñe se pahle jhaḌ gayā
ġharaz har shai pe vahshat thī
ḳhabar hī is qadar vahshat-asar thī
sunā hai jab diloñ kī lahlahātī khetiyāñ barbād hotī haiñ
to aise zalzale aayā hī karte haiñ
KHabar wahshat-asar thi
use aise laga
jaise zamin panw ke niche se sarakti ja rahi hai
tabaq saton ke saton aasman ke is ke sar par aa gire hain
ek dhamake se
nazar ke samne hadd-e-nazar tak ek kali dhund ke
manzar shikan parde
zamin se aasman tak tan gae hain
hawa ke panw mein man man ki zanjiren paDi hain
udhar dil ko TaTola to laga use
ki jaise aasman ki wusaton mein koi tayyara ghira hua aandhiyon mein
aur girdab hawai mein musalsal pai-ba-pai khata ho hachkole
udhar chehre ko dekha to laga aise
ki jaise us kitab-e-zindagi se
sare harfon ki chamakti raushnai uD chuki ho
KHalish aise thi sine mein
ki jaise koi kanTe-dar jhaDi par mahin malmal ko bedardi se khinche
aur tar-o-tar kar Dale
lahu sare badan ka khinch ke aankhon ke shikasta jam-o-mina se
Tapakna chahta tha
use is haal mein dekha to aaine chaTaKH kar reza reza ho gae
aur aarzu ke us bahisht-abaad ki sab chizen
apne apne markaz se lagin haTne
falak ko chumne wale kalas aur kangare pal-pal bhar mein miTTi chaTte the
aur dharti ki shikasta ja-ba-ja kaT jaane wali
sard rekhaon mein apne Thokaren khate muqaddar DhunDte the
daraKHt apni jagah se hil gae
aur un ki shaKHon par lada sab baur
phal banne se pahle jhaD gaya
gharaz har shai pe wahshat thi
KHabar hi is qadar wahshat-asar thi
suna hai jab dilon ki lahlahati khetiyan barbaad hoti hain
to aise zalzale aaya hi karte hain
- Book : Shakh-e-Zaryab (Pg. 70)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.