ek ajnabi chehra
vahī ik ajnabī chehra mire ḳhvāboñ meñ aatā hai
udāsī dekhtī huuñ jab bhī us kī gahrī āñkhoñ meñ
churā letā hai ye manzar mirī har niiñd kā lamha
udāsī us ke chehre kī mujhe sone nahīñ detī
mujhe ehsās hotā hai ki us kī garm sāñseñ bhī
mujhe sone nahīñ detīñ mujhe jiine nahīñ detīñ
mujhe ehsās hotā hai vahī ek ajnabī chehra
mere nazdīk aa kar loriyoñ se apnī dhaḌkan kī
sulātā hai mujhe aur daf.atan phir luuT jaatā hai
wahi ek ajnabi chehra mere KHwabon mein aata hai
udasi dekhti hun jab bhi us ki gahri aankhon mein
chura leta hai ye manzar meri har nind ka lamha
udasi us ke chehre ki mujhe sone nahin deti
mujhe ehsas hota hai ki us ki garm sansen bhi
mujhe sone nahin detin mujhe jine nahin detin
mujhe ehsas hota hai wahi ek ajnabi chehra
mere nazdik aa kar loriyon se apni dhaDkan ki
sulata hai mujhe aur dafatan phir luT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.