nensi
sahrā meñ jahāñ cactus ke daraḳht ziyāda haiñ
us ne ik sā.ebān aur ik bench banā.ī hai
jis par nensī ārām se us kī āġhosh meñ
leT yā baiTh saktī hai
puure chāñd kī raat meñ
nensī us se milne zarūr aatī hai
aur is bench par
us ke kāñdhe par sar rakh kar
us se bāteñ kartī hai
yā vo ḳhāmoshī se
chāñd sahrā aur cactus ke daraḳhtoñ ko dekhte rahte haiñ
us daurān vo apnā dāyāñ haath
nensī kī kamar ke gird Daale rahtā hai
agar nensī ko niiñd aa jaatī hai
vo bilkul sākit ho jaatā hai
taaki vo jitnī der so saktī hai
sotī rahe
nensī
jo peter kī biivī
aur Douglas kī bahan hai
aur puure chāñd kī raat meñ
unheñ dhokā de kar us se miltī hai
agar kisī raat bench par
der tak sotī rah jaa.e
vo tez raftār gaaḌī aur shikārī bandūq ke saath
nensī ko DhūñDte hue aa jaate haiñ
aur use akelā sotā huā pā kar
gaaḌī meñ Daal kar le jaate haiñ
sahra mein jahan cactus ke daraKHt ziyaada hain
us ne ek saeban aur ek bench banai hai
jis par nensi aaram se us ki aaghosh mein
leT ya baiTh sakti hai
pure chand ki raat mein
nensi us se milne zarur aati hai
aur is bench par
us ke kandhe par sar rakh kar
us se baaten karti hai
ya wo KHamoshi se
chand sahra aur cactus ke daraKHton ko dekhte rahte hain
us dauran wo apna dayan hath
nensi ki kamar ke gird Dale rahta hai
agar nensi ko nind aa jati hai
wo bilkul sakit ho jata hai
taki wo jitni der so sakti hai
soti rahe
nensi
jo peter ki biwi
aur Douglas ki bahan hai
aur pure chand ki raat mein
unhen dhoka de kar us se milti hai
agar kisi raat bench par
der tak soti rah jae
wo tez raftar gaDi aur shikari banduq ke sath
nensi ko DhunDte hue aa jate hain
aur use akela sota hua pa kar
gaDi mein Dal kar le jate hain
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 214)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.