muntazir hai sham
do-jahāñ kā husn le kar muntazir hai shaam khiḌkī par
shikasta-pursī nā-ummīd ashk āñkhoñ meñ bhar kar
is tarah sākit na baiTho ik jagah par
kāñch ko patthar kī sañgat meñ hī rahnā ho
to ik rasta ye hai
vo fāsloñ ko darmiyāñ rakhe
suno
ye ziist aisī shai nahīñ mil pā.egī phir
do-jahāñ kā husn le kar muntazir hai shaam khiḌkī par
chalo halke se rañgoñ kī lapeTo oḌhnī
barāmde meñ us se kheleñgī havā.eñ kāsnī
phir jāmunī sī raushnī oḌhā.egī ik maḳhmalīñ chādar
muqayyash us meñ sitāre Tāñkne utreñge
dekho
zindagī kā aur ik din hai guzarne ko uTho to
do-jahāñ kā husn le kar muntazir hai shaam khiḌkī par
do-jahan ka husn le kar muntazir hai sham khiDki par
shikasta-pursi na-ummid ashk aankhon mein bhar kar
is tarah sakit na baiTho ek jagah par
kanch ko patthar ki sangat mein hi rahna ho
to ek rasta ye hai
wo faslon ko darmiyan rakhe
suno
ye zist aisi shai nahin mil paegi phir
do-jahan ka husn le kar muntazir hai sham khiDki par
chalo halke se rangon ki lapeTo oDhni
baramde mein us se khelengi hawaen kasni
phir jamuni si raushni oDhaegi ek maKHmalin chadar
muqayyash us mein sitare Tankne utrenge
dekho
zindagi ka aur ek din hai guzarne ko uTho to
do-jahan ka husn le kar muntazir hai sham khiDki par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.